Sarfaroshi ki tamana ab hamare dil main hai..
Dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil main hai..
Karta nahi kyon dusara kuch bat-chit..
dekhata hun main jise.. vo chup teri mahfil main hai..
Ai shahid-e-mulk-o-millat main tere upar nisar..
Ab teri himat ka charcha.. gair ki mahfil main hai..
Waqt ane de bata denge tujhe ai asman..
Ham abhi se kya batayen.. kya hamare dil main hai..
Khinch kar lai hain sabko qatl hone ki ummid..
Ashiqon ka aj jamghat kucha-e-qatil main hai..
Sarfaroshi ki tamana ab hamare dil main hai..
Dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil main hai..
Hai liye hathiyar dushma taak main baitha udhar..
Aur hum tayiyaar hain.. seena liye apna idher..
Khoon se khelenge holi..
agar watan mushkil main hai..Sarfaroshi ki tamana ab hamare dil main hai..
haant jinme ho junoon.. kat te nahi talwaar se..
Sar jo uth jaate hain.. woh jhukte nahi lalkaar se..
Aur bhadkega.. jo shoal sa hamare dil main hai..
Sarfaroshi ki tamana ab hamare dil main hai..
Hum to gharse nikle hi the.. bhand kar sar pe kafan..
Jaan hatheli pe liye.. lo badh chalen hain yeh kadam..
Zindagi to apni mehmaan.. maut ki mehfil main hai..
Sarfaroshi ki tamana ab hamare dil main hai..
Dil main toofano ki doli.. aur naso mein inklaab..
Hosh dushman ke uda denge.. humen roko na aaj..
Dur reh paaye jo humse..
DUM kahan manjil main hain..
Sarfaroshi ki tamana ab hamare dil main hai..
Dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil main hai..
About Me
- Prashant
- I believe in today ... I dont look back in to past ... I believe in not having regrets in life ... I believe in hard work and smart work both ... I am a go getter and challenges excites me and gives me a kick in my life which are equal to the kick what people may get after finishing full J wlaker ... Theme of my life : "The Secret Behind staying ahead in life & Business; is not about what you want ... but it's about how desperately you want ... Few lines of Famous poet Harivansh Rai Bachchan Jee which defines the life aptly and liked it very much : Agneepath Agneepath Agneepath Tu na rookega kabhi, Tu na thamega kabhi kar shapath Agneepath Agneepath Agneepath Yeh mahaan drishya hai, Chal raha manushya hai Ashwoo Swet rakta se latpath lathpath lathpath Agneepath Agneepath Agneepath
No comments:
Post a Comment